Fatty Liver Kya Hota Hai? Cause, Symptoms And Treatment in Hindi

Introduction

Aaj kal ki busy life me log apni health par kam dhyan de pate hai jisse kuch time bad iska nuksan bhugatna padta hai esi hi ek life style diseases ke bare me log bar bar sawal karte hai “fatty liver kya hota hai”.

Isse pehle me bata du li liver hamare sharir ka bhot hi mahatvapurna organ hai. jo puri body ki functioning karta hai. Blood me maujood toxins ko sharir se bahar nikalta hai.

Digestion ke liye pachak ras (bile juice) banata hai jo pachan me help karta hai or bhi bhot se kam hote hai jo liver karta hai. Is blog me yahi full detail me samjenge ki fatty liver kya hota hai, fatty liver ke kya karan hai aur isko kese theek kar sakte hai.  

Fatty Liver Kya Hota Hai?

Bhot sare logo ko nahi pata hai fatty liver kya hota hai to me aasan bhasha me batata hu-Aaj ke time mein fatty liver ek common liver problem hai, especially un logon ke liye jo unhealthy food fried items, Junk food khate hain.Lekin fatty liver kya hota hai? Iska simple matlab hai – liver mein extra fat ka jama hona. Normally, liver mein thoda bahut fat hota hai, lekin jarurat se jada fat jama ho jae liver me to use hum fatty liver kahte hai.

Types of Fatty Liver

Fatty Liver Kya Hota Hai

Fatty liver mainly 2 types ka hota hai:

1. Non-Alcoholic Fatty Liver Disease (NAFLD)

Ye un logon me hota hai jo alcohol nahi lete he fr bhi unhe fatty liver ki problem hui he. Esa un logon me dekha jata hai jin logon ki lifestyle unhealthy hoti hai. Fried food, Junk food, bahar ka unhealthy food ka use jada karte hai un logon me Non-Alcoholic fatty liver ki problem common hai. 

2. Alcoholic Fatty Liver Disease

Jesa ki name se pata chal rha hai Ye un logon mein hota hai jo regular ya long time se alcohol consume karte hai.

Alcohol liver ke function ko disturb karta hai, jiski wajah se fat deposit hone lagta hai.

Fatty Liver ke Karan (Causes)

Fatty liver hone ke kai reasons ho sakte hain:

  • Galat aahar- jyada tel, Ghee, junk food, fast food, jyada refined tel ka use.
  • Shariirik roop se sakriya ki kami – exercise na karna or Din bhar bethe rehna.
  • Motaapa(obesity) – pet kea as pas fat ka jama hona bhi fatty liver ka karan ho sakta hai.
  • High cholesterol ya triglycerides
  • Alcohol consumption (alcoholic type ke liye)
  • Certain medicines – jaise corticosteroids, tamoxifen.

Fatty Liver ke Lakshan (Symptoms)

Suruvat me fatty liver ke koi lakshan dikhi nahi dete hai. Lekin jese jese condition kharab hoti hai vese kuch symptoms samne aane lagte hai.

Thakan (fatigue)

  • Weightgain ya bloating ya gas hona
  • Loss of appetite (bhukh mein kami)
  • Dark-colored urine
  • Yellowing of skin/eyes (jaundice – rare, severe cases mein)
  • Thakan (fatigue)
  • Pet ke daaye bhaag mein halka dard hona
  • Thakan (fatigue)

Diagnosis Kaise Hoti Hai?

Fatty liver ko detect karne ke liye kuch common tests hote hain:

  • Ultrasound (USG) – sabse common aur simple test
  • Liver Function Test (LFT) – liver enzymes ki checking hoti hai.
  • FibroScan – liver stiffness check karta hai
  • MRI or CTScan – detailed imaging
  • Liver biopsy – rare cases mein, jab stage    confirm karni ho

Fatty Liver Ka Ilaj (Treatment)

Achi baat yeh hai ki fatty liver ko reverse kiya ja sakta hai, especially agar aap early stage mein diagnose ho jaayein.

1. Lifestyle Changes

  • Weight loss – jitna ho sake weight loss kare.
  • Healthy diet – low fat, high fiber, Green vegetable, antioxidant-rich diet, jitna ho sake dairy product avoid kare.
  • Exercise – at least 30 minutes walk kare.
  • Avoid alcohol completely

2. Medications

  • Currently koi specific dawa fatty liver ke liye approved nahi hai, lekin doctors kuch supportive treatment de sakte hain:
    • Vitamin E (for non-diabetics)
    • Pioglitazone (in some NAFLD cases)
    • Omega-3 supplements

3. Natural Remedies (Supplementation)

  • Milk thistle (Silymarin) – liver detox ke liye popular
  • Turmeric (Haldi) – anti-inflammatory
  • Amla (Indian gooseberry) – liver ko protect karta hai
  • Green tea – fat metabolism improve karta hai
  • Trifala – ayurvedic medicine hai tino dosh vat, pitta, kaf ko kam karta hai.
  • Kalmegh– liver ko detox karne aur liver ko strong banata hai ise liver tonic kaha jata hai.
  • Giloy– inflammation ko kam karta hai liver ko detoxify karta hai. giloy liver me fat jama hone se rokta hai. Liver enzyme SGPT aur SGOT agar badhe ho to giloy unko normal karta hai.

Agar aap Acidity, Chronic Gastritis, Supplements for Heart Health, SIBO aur SIFO se pareshan hai to link par click karke Full Detail Dekh sakte hai.

Fatty Liver Mein Kya Khayein? (Diet Tips)

Foods to Include:

  • Green leafy vegetables (spinach, methi)
  • Fruits: papaya, apple, citrus fruits
  • Whole grains: oats, brown rice,
  • Millets ko khane mein add kare
  • Healthy fats: nuts, seeds, olive oil
  • Green tea, turmeric milk
  • Plenty of water

Foods to Avoid:

  • Deep fried & oily food
  • Sugary drinks (cola, soda)
  • Red meat, processed meat
  • White bread, refined carbs
  • Alcohol
  • Tea, coffee

Fatty Liver Se Kaise Bachein? (Prevention Tips)

  • Healthy body weight maintain karein
  • Regular physical activity karein
  • Junk food, Fast food aur alcohol se doori banayein
  • Regular health check-up karvate rahein
  • Water zyada piyen – liver ko detoxify karta hai
  • Stress kam karein – meditation, yoga, Deep breathing, Pranayam help karta hai

FAQ

Q.1 Kya fatty liver mein milk pina chahiye?
fatty liver me milk ko kuch hafto tak bilkul avoid karna chahiye, kuch time bad doctor ki salah se fir se shuru kar sakte hai.
Q.2 Liver ka normal size kitna hona chahiye?
Male mein liver average size 14.5 cm hota hai aur female mein liver ka average size 13.5 cm hota hai.
Q.3 Kamjor liver ki kya pehchan hai?
Skin ka yellowish hona, lagatar thakan hona, bhuk mein kami, weight loss hona, digestion kamjor hona, Gas, bloating aur constipation hona, skin mein khujli hona liver ke kamjor hone ke main lakshan hai.  

Conclusion

Agar liver se related sign mile to ignore na kare. Blood test me LFT (liver function test) krvae agar liver enzyme SGPT aur SGOT badhe hue mile to doctor ki salah jarur lain. Kyo ki early stage me isko treat karna aasan hota hai. Isliye aapna khyal rakhe.  

Agar aapko yeh article “fatty liver kya hota hai” pasand aaya ho, to ise share karein aur comment karke apna feedback de. Stay healthy, stay informed!

Share This Post

Vipin Panchal is a passionate health blogger and the founder of GutCares.com, a platform dedicated to promoting natural wellness, healthy living, and balanced nutrition. With a deep interest in holistic health, Vipin shares practical, research-backed tips on diet, lifestyle, and digestive wellness to help people take control of their everyday health.

1 thought on “Fatty Liver Kya Hota Hai? Cause, Symptoms And Treatment in Hindi”

Leave a Comment