High Blood Pressure Remedies: BP Kam Karne Ke Natural Tarike

Aaj ke busy life me log sehat ko aksar bhul jate hai aur physical activity na karne ke chalte High blood pressure yaani hypertension hona aam bat hai. high Blood pressure zyada hone par dil, kidney aur brain ke liye khatarnaak ho sakta hai.lekin aaj me aap ko btaunga kuch effective high blood pressure remedies jo aap ghar baithe apna sakte hain.

High Blood Pressure Remedies

High Blood Pressure Kya Hota Hai?

 Jab aap apna blood pressure ko ko chek karte hai ager blood pressure 120/80 mmHg jo ki normal range hai isse jada ho jae to use hum high blood pressure kaha jata hai. Iske major karan mein stress, obesity, unhealthy diet, smoking, aur lack of physical activity shamil hain.

High Blood Pressure Ke Lakshan (Symptoms)

High BP ke lakshan bhot jald nhi aate lekin lagatar BP badha rahe to kuch lakshan hame dikhai dete hai.

  • Sir dard (headache)
  • Chakkar aana
  • Thakan ya ghabrahat
  • Seene mein jalan ya tightness
  • Vision problems
  • Irregular heartbeat
  •  Sote time heart beat feel hona

Har kisi mein symptoms nahi hote, isliye ise “silent killer” bhi kaha jata hai.

Top Natural High Blood Pressure Remedies

High Blood Pressure Remedies

1. Lahsun (Garlic)

Lahsun ke andar allicin hota hai, jo blood vessels ko relax karta hai aur BP ko naturally kam karta hai. Khun me cholesterol ko kam karta hai jiise blood flow easy hota hai.

High Blood Pressure Remedies

2. Ashwagandha

Ashwagandha mind ko relax karta hai. Stress ko kam karta hai. Jisse BP kam hone lagta hai.
1/2 chammach ashwagandha powder ko doodh ke saath lein raat ko.

High Blood Pressure Remedies

3. Banana –

Banana mein potassium high amount me paya jata hai. Jo sodium ko balance karta hai Aur blood pressure ko kam karta hai.

High Blood Pressure Remedies

4. Tulsi ke Patte

Tulsi immunity badhane ke saath BP ko bhi balance karta hai.

High Blood Pressure Remedies

5. Meditation & Pranayama

Stress kam karna bahut zaroori hai. Meditation aur deep breathing se nervous system theek hota hai, aur BP naturally control hota hai. Ager jada blood pressure badha hua he to ek bar shant ho jae Aur deep breathing kare isse kuch hi der me BP control me aane lagega.

Kuch popular pranayama:

  • Anulom Vilom
  • Bhramari
  • Sheetali
High Blood Pressure Remedies

6. Improve Digestion

Agar aap ka digestion theek nahi he jese acidity, Gas ki problem hai to sabse pele digestion ko theek kare kyoki Acidity hona bhi ek High BP ka karan hai.

High Blood Pressure Remedies

7. Salt Ka Dhyan Rakhein

Zyada namak ka istemal BP ko spike kar sakta hai. Daily salt intake ko 5 gram ya usse kam rakhein. Jitna ho sake salt ko kam use kare.

Table salt ka use nak are.

High Blood Pressure Remedies

8. Avoid Unhealthy food

Junk food, fast food aur fried items se dur rahe kyoki isse digestion weak hota hai aur blood cholesterol badhta hai. Jisse BP high hota hai.

High Blood Pressure Remedies

9. Omega-3

Omega-3 rich food apne diet me add kare jese flex-seeds yeh heart health ke liye bhot accha hota hai jisse heart strong hota hai or BP control hota hai.

High Blood Pressure Remedies

10. Intermittent fasting

Intermittent fasting kare daily 16 ganto ki fasting karni hai.

High Blood Pressure Ke Liye Diet Tips

  • Fruits jaise banana, watermelon, apple zyada lein
  • Green leafy vegetables jaise spinach aur methi ko diet mein shamil karein aur loki ka juice piye.
  • Whole grains jaise oats aur brown rice ka use karein
  • Saturated fats aur red meat se doori banayein, Non-veg ko alvida bole.
  • Caffeine aur alcohol ka sevan kam karein
  • Organic food khae.
  • Millets ka use kare.

Avoid kare

  • Smoking
  • Excessive alcohol
  • Stress overload
  • Junk food
  • Late-night snacking

Kab Doctor ke Paas Jayein?

Agar aapka BP 140/90 ya usse zyada consistently aa raha hai, ya aapko Thakan, chest pain ya headache ho rahe hai tab doctor ko dikhae.

FAQ

High Blood Pressure Remedies

Q1. What not to eat in high blood pressure?
Aap ko high sodium vale food ko avoid karna hai. Suger or sugery food ko avoid karna hai.
Jyada spicy, Oily food aur junk food avoid karna hai.


Q2. What is the best drink for high blood pressure?
high blood pressure ke liye best drink
  1. Pomegranate juice
  2. Apple juice
  3. Lauki juice
  4. Ash-guard juice
  5. Alkaline water
  6. Bitter guard (karela juice)
Q3. How to reduce BP quickly?
Deep breathing Se bhot jald BP control hota hai. Aap khud result dekh sakte he deep breathing se pahle BP chek kare fir 5 min. Deep breathing ke bad fir se chek kare aap khud dekhenge BP control me aa rha hai.

Conclusion

High blood pressure ek serious condition hai, lekin natural remedies aur lifestyle changes ke saath aap ise control kar sakte hain. Aap ko discipline diet follow karni hai or sodium ka use kam karna hai aur yoga, meditation karna hai. Isse aap bina side effects ke BP normal rakh sakte hain.

Healthy raho, khush raho

Mera article high blood pressure remedies accha laga hoto share jarur kare.

Share This Post

Vipin Panchal is a passionate health blogger and the founder of GutCares.com, a platform dedicated to promoting natural wellness, healthy living, and balanced nutrition. With a deep interest in holistic health, Vipin shares practical, research-backed tips on diet, lifestyle, and digestive wellness to help people take control of their everyday health.

1 thought on “High Blood Pressure Remedies: BP Kam Karne Ke Natural Tarike”

Leave a Comment